ye sham-e-gham guzar mere sath-sath chal
ye shām-e-ġham guzār mire sāth-sāth chal
ai panchhiyoñ kī Daar mire sāth-sāth chal
tanhā safar tavīl hai maiñ uub jā.ūñgā
ai sar-phirī bayār mire sāth-sāth chal
sūraj ke ās-pās basā.eñge ik nagar
in bādaloñ ke paar mire sāth-sāth chal
is zindagī kī dhuup meñ kar shukr jo mileñ
kuchh peḌ sāya-dār mire sāth-sāth chal
phir us kī or jaise maiñ khiñchtā chalā gayā
gūñjī thī ik pukār mire sāth-sāth chal
hai rāh-e-ishq kū-ba-kū mushkil bhī saḳht bhī
tū chal sake to yaar mire sāth-sāth chal
ye sham-e-gham guzar mere sath-sath chal
ai panchhiyon ki Dar mere sath-sath chal
tanha safar tawil hai main ub jaunga
ai sar-phiri bayar mere sath-sath chal
suraj ke aas-pas basaenge ek nagar
in baadalon ke par mere sath-sath chal
is zindagi ki dhup mein kar shukr jo milen
kuchh peD saya-dar mere sath-sath chal
phir us ki or jaise main khinchta chala gaya
gunji thi ek pukar mere sath-sath chal
hai rah-e-ishq ku-ba-ku mushkil bhi saKHt bhi
tu chal sake to yar mere sath-sath chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.