ye shab ye KHayal-o-KHwab tere
ye shab ye ḳhayāl-o-ḳhvāb tere
kyā phuul khile haiñ muñh-añdhere
sho.ale meñ hai ek rañg terā
baaqī haiñ tamām rañg mere
āñkhoñ meñ chhupā.e phir rahā huuñ
yādoñ ke bujhe hue savere
dete haiñ surāġh fasl-e-gul kā
shāḳhoñ pe jale hue basere
manzil na milī to qāfiloñ ne
raste meñ jamā liye haiñ Dere
jañgal meñ huī hai shaam ham ko
bastī se chale the muñh-añdhere
rūdād-e-safar na chheḌ 'nāsir'
phir ashk na tham sakeñge mere
ye shab ye KHayal-o-KHwab tere
kya phul khile hain munh-andhere
shoale mein hai ek rang tera
baqi hain tamam rang mere
aankhon mein chhupae phir raha hun
yaadon ke bujhe hue sawere
dete hain suragh fasl-e-gul ka
shaKHon pe jale hue basere
manzil na mili to qafilon ne
raste mein jama liye hain Dere
jangal mein hui hai sham hum ko
basti se chale the munh-andhere
rudad-e-safar na chheD 'nasir'
phir ashk na tham sakenge mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.