ye shahr-e-dil hai yahan subh sham kuchh bhi nahin
ye shahr-e-dil hai yahāñ sub.h shaam kuchh bhī nahīñ
tumhārī yaad se baḌh kar hai kaam kuchh bhī nahīñ
badal ke rakh dī haiñ tārīḳh kī kitābeñ sab
nishāñ miTā ke vo kahte haiñ naam kuchh bhī nahīñ
ajab fazā hai siyāsat kī daur-e-hāzir meñ
ġharīb kuchh bhī nahīñ hai avaam kuchh bhī nahīñ
sharāfatoñ meñ zarūrat ke lag ga.e paivand
rah-e-talab meñ halāl-o-harām kuchh bhī nahīñ
maiñ us kī mad.h meñ likhūñ to kyā likhūñ 'amabar'
hai jis ke sāmne māh-e-tamām kuchh bhī nahīñ
ye shahr-e-dil hai yahan subh sham kuchh bhi nahin
tumhaari yaad se baDh kar hai kaam kuchh bhi nahin
badal ke rakh di hain tariKH ki kitaben sab
nishan miTa ke wo kahte hain nam kuchh bhi nahin
ajab faza hai siyasat ki daur-e-hazir mein
gharib kuchh bhi nahin hai awam kuchh bhi nahin
sharafaton mein zarurat ke lag gae paiwand
rah-e-talab mein halal-o-haram kuchh bhi nahin
main us ki madh mein likhun to kya likhun 'amabar'
hai jis ke samne mah-e-tamam kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.