ye shahr-e-dil jo koi shahr-e-arzu bhi nahin
ye shahr-e-dil jo koī shahr-e-ārzū bhī nahīñ
bhaTak rahe haiñ magar terī justujū bhī nahīñ
ham ahl-e-dard kareñ kyā kahīñ jo mil baiTheñ
tire sivā koī mauzū'-e-guftugū bhī nahīñ
varaq-varaq pe abhī tak to ḳhuuñ se she'r likhe
qalam hai ḳhushk ki ab jism meñ lahū bhī nahīñ
hameñ akelā nahīñ chhoḌtā ghaḌī-bhar ko
vo ek shaḳhs ki jo aaj rū-barū bhī nahīñ
ye kaise phuul sar-e-shāḳh-e-dil khile haiñ 'qamar'
ki jin meñ rang bhī koī nahīñ hai bū bhī nahīñ
ye shahr-e-dil jo koi shahr-e-arzu bhi nahin
bhaTak rahe hain magar teri justuju bhi nahin
hum ahl-e-dard karen kya kahin jo mil baiThen
tere siwa koi mauzu'-e-guftugu bhi nahin
waraq-waraq pe abhi tak to KHun se she'r likhe
qalam hai KHushk ki ab jism mein lahu bhi nahin
hamein akela nahin chhoDta ghaDi-bhar ko
wo ek shaKHs ki jo aaj ru-baru bhi nahin
ye kaise phul sar-e-shaKH-e-dil khile hain 'qamar'
ki jin mein rang bhi koi nahin hai bu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.