ye shahr ke basi kya jaanen kya rup hai ganw ke panghaT ka
ye shahr ke baasī kyā jāneñ kyā ruup hai gaañv ke panghaT kā
kyā ishq hai laaj kī alhaḌ kā kyā husn hai moh ke naT-khaT kā
va.adoñ kī havā amrā.ī meñ yādoñ kī fazā añgnā.ī meñ
milne kī duā tanhā.ī meñ sannāTe meñ dhokā aahaT kā
āñchal meñ chhupī mamtā kī mayā kathrī meñ dabī bhagvan kī dayā
laatā hai koī sandesh nayā pal pal meñ badalnā karvaT kā
chūlhe kā tavā muskātā huā jugnū bhī uḌe sharmātā huā
pardesī kī yaad dilātā huā ḳhāmosh diyā ik chaukhaT kā
galiyāroñ meñ madh Tapkātā huā kuTiyoñ kī sudhā nahlātā huā
āñgan meñ nayan maTkātā huā hai chāñd auraunī par laTkā
thak haar ke jo bhī aatā hai jī bhar ke pyaas bujhātā hai
ai dharm pe marne vaale batā kyā dharm hai nadiyā ke taT kā
'bekal' tirā pag pag naam yahāñ utsāhī tire sab kaam yahāñ
tirī bhor yahāñ tirī shaam yahāñ phir kaahe phire bhaTkā bhaTkā
ye shahr ke basi kya jaanen kya rup hai ganw ke panghaT ka
kya ishq hai laj ki alhaD ka kya husn hai moh ke naT-khaT ka
wadon ki hawa amrai mein yaadon ki faza angnai mein
milne ki dua tanhai mein sannaTe mein dhoka aahaT ka
aanchal mein chhupi mamta ki maya kathri mein dabi bhagwan ki daya
lata hai koi sandesh naya pal pal mein badalna karwaT ka
chulhe ka tawa muskata hua jugnu bhi uDe sharmata hua
pardesi ki yaad dilata hua KHamosh diya ek chaukhaT ka
galiyaron mein madh Tapkata hua kuTiyon ki sudha nahlata hua
aangan mein nayan maTkata hua hai chand aurauni par laTka
thak haar ke jo bhi aata hai ji bhar ke pyas bujhata hai
ai dharm pe marne wale bata kya dharm hai nadiya ke taT ka
'bekal' tera pag pag nam yahan utsahi tere sab kaam yahan
teri bhor yahan teri sham yahan phir kahe phire bhaTka bhaTka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.