ye shahr sehr-zada hai sada kisi ki nahin
ye shahr sehr-zada hai sadā kisī kī nahīñ
yahāñ ḳhud apne liye bhī duā kisī kī nahīñ
ḳhizāñ meñ chāk-garebāñ thā maiñ bahār meñ tū
magar ye fasl-e-sitam-āshnā kisī kī nahīñ
sab apne apne fasāne sunāte jaate haiñ
nigāh-e-yār magar ham-navā kisī kī nahīñ
maiñ aaj zad pe agar huuñ to ḳhush-gumān na ho
charāġh sab ke bujheñge havā kisī kī nahīñ
'farāz' apnī jigar-kāviyoñ pe naaz na kar
ki ye mata-e-hunar bhī sadā kisī kī nahīñ
ye shahr sehr-zada hai sada kisi ki nahin
yahan KHud apne liye bhi dua kisi ki nahin
KHizan mein chaak-gareban tha main bahaar mein tu
magar ye fasl-e-sitam-ashna kisi ki nahin
sab apne apne fasane sunate jate hain
nigah-e-yar magar ham-nawa kisi ki nahin
main aaj zad pe agar hun to KHush-guman na ho
charagh sab ke bujhenge hawa kisi ki nahin
'faraaz' apni jigar-kawiyon pe naz na kar
ki ye mata-e-hunar bhi sada kisi ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.