ye shikasta sa jo kuchh haal mere andar hai
ye shikasta sā jo kuchh haal mire andar hai
koī to hai ki jo pāmāl mire andar hai
mere andar thā tire saath guzārā lamha
aur ab tanhā mah-o-sāl mire andar hai
roz martā hai koī bhuuk se mere andar
aisā lagtā hai ki bangāl mire andar hai
mere chehre pe koī aur nahīñ hai chehra
mere zāhir kā ḳhad-o-ḳhāl mire andar hai
fikr-dar-fikr jo rah-rah ke ulajh paḌtā huuñ
shiddat-e-ġham kā koī jaal mire andar hai
kyā kahā jaan mirī jā.egī furqat ke ta.iiñ
yā'nī vo jo hai mirā kaal mire andar hai
sab luTā kar bhī bharā rahtā hai dāman 'sādiq'
kyā ġhanī hai ye jo kangāl mire andar hai
ye shikasta sa jo kuchh haal mere andar hai
koi to hai ki jo pamal mere andar hai
mere andar tha tere sath guzara lamha
aur ab tanha mah-o-sal mere andar hai
roz marta hai koi bhuk se mere andar
aisa lagta hai ki bangal mere andar hai
mere chehre pe koi aur nahin hai chehra
mere zahir ka KHad-o-KHal mere andar hai
fikr-dar-fikr jo rah-rah ke ulajh paDta hun
shiddat-e-gham ka koi jal mere andar hai
kya kaha jaan meri jaegi furqat ke tain
ya'ni wo jo hai mera kal mere andar hai
sab luTa kar bhi bhara rahta hai daman 'sadiq'
kya ghani hai ye jo kangal mere andar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.