ye shoKHiyan ye jawani kahan se laen hum
ye shoḳhiyāñ ye javānī kahāñ se laa.eñ ham
tumhāre husn kā saanī kahāñ se laa.eñ ham
mohabbateñ vo purānī kahāñ se laa.eñ ham
rukī nadī meñ ravānī kahāñ se laa.eñ ham
hamārī aañkh hai paivast ek sahrā meñ
ab aisī aañkh meñ paanī kahāñ se laa.eñ ham
har ek lafz ke ma.anī talāshte ho tum
har ek lafz kā ma.anī kahāñ se laa.eñ ham
chalo batā deñ zamāne ko apne baare meñ
ki roz jhūTī kahānī kahāñ se laa.eñ ham
ye shoKHiyan ye jawani kahan se laen hum
tumhaare husn ka sani kahan se laen hum
mohabbaten wo purani kahan se laen hum
ruki nadi mein rawani kahan se laen hum
hamari aankh hai paiwast ek sahra mein
ab aisi aankh mein pani kahan se laen hum
har ek lafz ke mani talashte ho tum
har ek lafz ka mani kahan se laen hum
chalo bata den zamane ko apne bare mein
ki roz jhuTi kahani kahan se laen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.