Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye siska bhi ye roya bhi mujhe is dil pe hairat hai

Suman Shah

ye siska bhi ye roya bhi mujhe is dil pe hairat hai

Suman Shah

MORE BYSuman Shah

    ye siskā bhī ye royā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    ye TuuTā bhī ye bikhrā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    ye soz-e-jāñ diye jis ne usī ke naam par ab bhī

    ye machlā bhī ye dhaḌkā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    mirī nīñdoñ jo bairī usī kam-lutf ḳhātir

    ye tarsā bhī ye jaagā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    mujhe sahrā kiyā jis ne usī par TuuT kar pāgal

    ye mahkā bhī ye barsā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    ajab ik be-mehr hai vo magar us himāyat meñ

    ye bolā bhī ye rūThā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    ġhazab sho.ala-bayāñ hai vo magar us sabhī bāteñ

    ye suntā bhī ye sahtā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    sabhī gustāḳhiyāñ us ḳhushī se bhuul jaatā hai

    ye kamlā bhī ye paglā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    parā.ī is āñkheñ haiñ magar un ke liye har din

    ye nikhrā bhī ye sañvarā bhī mujhe is dil pe hairat hai

    ye siska bhi ye roya bhi mujhe is dil pe hairat hai

    ye TuTa bhi ye bikhra bhi mujhe is dil pe hairat hai

    ye soz-e-jaan diye jis ne usi ke nam par ab bhi

    ye machla bhi ye dhaDka bhi mujhe is dil pe hairat hai

    meri nindon ka jo bairi usi kam-lutf ki KHatir

    ye tarsa bhi ye jaga bhi mujhe is dil pe hairat hai

    mujhe sahra kiya jis ne usi par TuT kar pagal

    ye mahka bhi ye barsa bhi mujhe is dil pe hairat hai

    ajab ek be-mehr hai wo magar us ki himayat mein

    ye bola bhi ye ruTha bhi mujhe is dil pe hairat hai

    ghazab shoala-bayan hai wo magar us ki sabhi baaten

    ye sunta bhi ye sahta bhi mujhe is dil pe hairat hai

    sabhi gustaKHiyan us ki KHushi se bhul jata hai

    ye kamla bhi ye pagla bhi mujhe is dil pe hairat hai

    parai is ki aankhen hain magar un ke liye har din

    ye nikhra bhi ye sanwara bhi mujhe is dil pe hairat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now