ye sitara bhi Dub sakta hai
ye sitāra bhī Duub saktā hai
dil tumhārā bhī Duub saktā hai
saath rakho bachāne vāloñ ko
vo dobāra bhī Duub saktā hai
Duub saktā hai vo agar aadhā
phir to saarā bhī Duub saktā hai
apnī kashtī to is bhañvar meñ hai
jis meñ dhārā bhī Duub saktā hai
jo bachātā hai Dūbne vaale
vo idāra bhī Duub saktā hai
ye sitara bhi Dub sakta hai
dil tumhaara bhi Dub sakta hai
sath rakho bachane walon ko
wo dobara bhi Dub sakta hai
Dub sakta hai wo agar aadha
phir to sara bhi Dub sakta hai
apni kashti to is bhanwar mein hai
jis mein dhaara bhi Dub sakta hai
jo bachata hai Dubne wale
wo idara bhi Dub sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.