ye soch kar na mail-e-fariyaad hum hue
ye soch kar na mā.il-e-fariyād ham hue
ābād kab hue the ki barbād ham hue
hotā hai shād-kām yahāñ kaun bā-zamīr
nāshād ham hue to bahut shaad ham hue
parvez ke jalāl se Takrā.e ham bhī haiñ
ye aur baat hai ki na farhād ham hue
kuchh aaise bhā ga.e hameñ duniyā ke dard-o-ġham
kū-e-butāñ meñ bhūlī huī yaad ham hue
'jālib' tamām umr hameñ ye gumāñ rahā
us zulf ke ḳhayāl se āzād ham hue
ye soch kar na mail-e-fariyaad hum hue
aabaad kab hue the ki barbaad hum hue
hota hai shad-kaam yahan kaun ba-zamir
nashad hum hue to bahut shad hum hue
parwez ke jalal se Takrae hum bhi hain
ye aur baat hai ki na farhad hum hue
kuchh aaise bha gae hamein duniya ke dard-o-gham
ku-e-butan mein bhuli hui yaad hum hue
'jalib' tamam umr hamein ye guman raha
us zulf ke KHayal se aazad hum hue
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 302)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.