ye sunte hi KHushi se hum bhi pichhe aa gae hain
ye sunte hī ḳhushī se ham bhī pīchhe aa ga.e haiñ
vo saaf andāz meñ sab kuchh hameñ farmā ga.e haiñ
suhūlat se kinārā kar ke kār-e-ḳhair meñ bhī
sitam saare hamārī zaat par vo Dhā ga.e haiñ
ik aisā hādisa dar-pesh aayā thā yahāñ par
parinde hī nahīñ ashjār bhī ghabrā ga.e haiñ
bhulāne kā koī bhī rāsta chhoḌā nahīñ hai
are pāgal tire zehn-o-gumāñ par chhā ga.e haiñ
ḳhushī se toḌ yā mahfūz rakh marzī hai terī
khilaune haiñ tire hāthoñ meñ jo ham aa ga.e haiñ
faqat da.ave nahīñ tū jaan bhī detā hai ham par
tire naḳhre hameñ kuchh is sabab se bhā ga.e haiñ
ye sunte hi KHushi se hum bhi pichhe aa gae hain
wo saf andaz mein sab kuchh hamein farma gae hain
suhulat se kinara kar ke kar-e-KHair mein bhi
sitam sare hamari zat par wo Dha gae hain
ek aisa hadisa dar-pesh aaya tha yahan par
parinde hi nahin ashjar bhi ghabra gae hain
bhulane ka koi bhi rasta chhoDa nahin hai
are pagal tere zehn-o-guman par chha gae hain
KHushi se toD ya mahfuz rakh marzi hai teri
khilaune hain tere hathon mein jo hum aa gae hain
faqat dawe nahin tu jaan bhi deta hai hum par
tere naKHre hamein kuchh is sabab se bha gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.