ye talluq ke taqazon ko bhi kha jata hai
ye ta.alluq ke taqāzoñ ko bhī khā jaatā hai
shak mohabbat kī kitāboñ ko bhī khā jaatā hai
maiñ to ik maañs kā TukḌā huuñ mirī kyā auqāt
ġham kā kiiḌā to pahāḌoñ ko bhī khā jaatā hai
raat kartī hai ḳhamoshī se hifāzat din kī
din magar chāñd sitāroñ ko bhī khā jaatā hai
ye to dariyā pe hai paanī se banā kar rakkhe
varna sailāb kināroñ ko bhī khā jaatā hai
mere kamre meñ bharā rahtā hai dastak kā ġhubār
ye vo ghun hai jo kivāḌoñ ko bhī khā jaatā hai
tujh meñ parvāz kī quvvat hai magar dhyān rahe
ik ahañkār uḌānoñ ko bhī khā jaatā hai
do ghaḌī ruknā zarūrī hai 'musavvir' varna
rāsta paañv ke chhāloñ ko bhī khā jaatā hai
ye talluq ke taqazon ko bhi kha jata hai
shak mohabbat ki kitabon ko bhi kha jata hai
main to ek mans ka TukDa hun meri kya auqat
gham ka kiDa to pahaDon ko bhi kha jata hai
raat karti hai KHamoshi se hifazat din ki
din magar chand sitaron ko bhi kha jata hai
ye to dariya pe hai pani se bana kar rakkhe
warna sailab kinaron ko bhi kha jata hai
mere kamre mein bhara rahta hai dastak ka ghubar
ye wo ghun hai jo kiwaDon ko bhi kha jata hai
tujh mein parwaz ki quwwat hai magar dhyan rahe
ek ahankar uDanon ko bhi kha jata hai
do ghaDi rukna zaruri hai 'musawwir' warna
rasta panw ke chhaalon ko bhi kha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.