ye tai nahin ki sada aansuon se likkhenge
ye tai nahīñ ki sadā āñsuoñ se likkheñge
kabhī to ham bhī ġhazal ḳhushbuoñ se likkheñge
hamārī pyaas kā ahvāl reg-zāroñ par
sulagte chīḳhte mausam lavoñ se likkheñge
sahāfiyoñ ko kahāñ hāl-e-dil sunā baiThe
zarā sī baat ka.ī zāviyoñ se likkheñge
na ḳhush ho jaan ke be-dast ham tirā anjām
inheñ tarāshe ga.e bāzuoñ se likkheñge
bhale hī TuuT chukī haiñ magar hameñ sauñpo
ki ham kināra inheñ chappuoñ se likkheñge
ye tai nahin ki sada aansuon se likkhenge
kabhi to hum bhi ghazal KHushbuon se likkhenge
hamari pyas ka ahwal reg-zaron par
sulagte chiKHte mausam lawon se likkhenge
sahafiyon ko kahan haal-e-dil suna baiThe
zara si baat kai zawiyon se likkhenge
na KHush ho jaan ke be-dast hum tera anjam
inhen tarashe gae bazuon se likkhenge
bhale hi TuT chuki hain magar hamein saunpo
ki hum kinara inhen chappuon se likkhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.