ye tajraba bhi hai humne faqat suna hi nahin
ye tajraba bhī hai ham ne faqat sunā hī nahīñ
gumān shauq se baḌh kar yaqīñ huā hī nahīñ
havā hai tez to ho bādbāñ khule hī raheñ
ḳhudā bhī hai mire hamrāh nāḳhudā hī nahīñ
ye aur baat añdhere haiñ merī āñkhoñ meñ
charāġh-e-dil to kisī daur meñ bujhā hī nahīñ
chamakne vaale sitāre bahut ġhanīmat haiñ
ye ġham-gusār bhī haiñ dard-āshnā hī nahīñ
ham un kī baat ko phir aaj mo'atabar jāneñ
ki jī bahalne kā ab aur rāsta hī nahīñ
bulandiyoñ hī pe aksar hameñ nazar aaya
magar vo shaḳhs kabhī shahr meñ milā hī nahīñ
fazā meñ kitne ḳhayāloñ kī gard uḌtī hai
'rabāb' ab koī ye baat sochtā hī nahīñ
ye tajraba bhi hai hum ne faqat suna hi nahin
guman shauq se baDh kar yaqin hua hi nahin
hawa hai tez to ho baadban khule hi rahen
KHuda bhi hai mere hamrah naKHuda hi nahin
ye aur baat andhere hain meri aankhon mein
charagh-e-dil to kisi daur mein bujha hi nahin
chamakne wale sitare bahut ghanimat hain
ye gham-gusar bhi hain dard-ashna hi nahin
hum un ki baat ko phir aaj mo'atabar jaanen
ki ji bahalne ka ab aur rasta hi nahin
bulandiyon hi pe aksar hamein nazar aaya
magar wo shaKHs kabhi shahr mein mila hi nahin
faza mein kitne KHayalon ki gard uDti hai
'rabab' ab koi ye baat sochta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.