ye tamanna thi dekh kar tujhko
ye tamanna thī dekh kar tujh ko
aa.uuñ maiñ bhī kabhī nazar tujh ko
thoḌī mehnat ke baa'd hī milnā
DhūñDh to luuñ idhar udhar tujh ko
dil ke har goshe se sadā aa.ī
yaad kartā hai terā ghar tujh ko
aa.ina hī ik aasrā hai ab
aur tujh sā mile kidhar tujh ko
kaun kis ko banātā aayā hai
tū bashar ko yā phir bashar tujh ko
qatl hī ik shifā hai kyā terī
kaun kahtā hai chārāgar tujh ko
ye tamanna thi dekh kar tujh ko
aaun main bhi kabhi nazar tujh ko
thoDi mehnat ke ba'd hi milna
DhunDh to lun idhar udhar tujh ko
dil ke har goshe se sada aai
yaad karta hai tera ghar tujh ko
aaina hi ek aasra hai ab
aur tujh sa mile kidhar tujh ko
kaun kis ko banata aaya hai
tu bashar ko ya phir bashar tujh ko
qatl hi ek shifa hai kya teri
kaun kahta hai chaaragar tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.