ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen
ye tamannā hai ki ab aur tamannā na kareñ
sher kahte raheñ chup chaap taqāzā na kareñ
in badalte hue hālāt meñ behtar hai yahī
ā.īna dekheñ to ḳhud apne ko DhūñDā na kareñ
tū gurezāñ rahī ai zindagī ham se lekin
kaise mumkin hai ki ham bhī tujhe chāhā na kareñ
is na.e daur ke logoñ se ye kah de koī
dil ke dukhḌoñ kā sar-e-ām tamāshā na kareñ
ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen
sher kahte rahen chup chap taqaza na karen
in badalte hue haalat mein behtar hai yahi
aaina dekhen to KHud apne ko DhunDa na karen
tu gurezan rahi ai zindagi hum se lekin
kaise mumkin hai ki hum bhi tujhe chaha na karen
is nae daur ke logon se ye kah de koi
dil ke dukhDon ka sar-e-am tamasha na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.