ye tere husn ki jo shohrat hai
ye tere husn kī jo shohrat hai
sab mire ishq kī badaulat hai
un se ulfat to dar-haqīqat hai
ab ye kahne kī kis ko jur.at hai
shādmāñ koī aur koī nāshād
dekhiye apnī apnī qismat hai
yaad rakhnā hamārā sheva hai
bhuul jaanā tumhārī aadat hai
kyā batā.ūñ ki haal kaisā hai
tum ne pūchhā yahī ġhanīmat hai
sabr se kaam lo zarā 'fayyāz'
har musībat ke baad rāhat hai
ye tere husn ki jo shohrat hai
sab mere ishq ki badaulat hai
un se ulfat to dar-haqiqat hai
ab ye kahne ki kis ko jurat hai
shadman koi aur koi nashad
dekhiye apni apni qismat hai
yaad rakhna hamara shewa hai
bhul jaana tumhaari aadat hai
kya bataun ki haal kaisa hai
tum ne puchha yahi ghanimat hai
sabr se kaam lo zara 'fayyaz'
har musibat ke baad rahat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.