ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya
ye terī chaah bhī kyā terī aarzū bhī kyā
hamāre jism meñ ye dauḌtā lahū bhī kyā
hai jis ke dhyān meñ har lamha ḳhvāb kā aalam
mile kahīñ to kareñ us se guftugū bhī kyā
tire ḳhayāl kī ḳhushbū tire jamāl kā rañg
hamāre dasht meñ lekin ye rañg-o-bū bhī kyā
ye taptī ret ye pyāsī zamīñ yahāñ logo
kisī ke pyaar se mahkī huī numū bhī kyā
hazār koh-o-bayābāñ kiye haiñ tai lekin
hue ham ābla-pāyāñ lahū lahū bhī kyā
kisī kī yaad meñ kaT jaa.e zindagī saarī
ik aarzū to hai lekin ye aarzū bhī kyā
ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya
hamare jism mein ye dauDta lahu bhi kya
hai jis ke dhyan mein har lamha KHwab ka aalam
mile kahin to karen us se guftugu bhi kya
tere KHayal ki KHushbu tere jamal ka rang
hamare dasht mein lekin ye rang-o-bu bhi kya
ye tapti ret ye pyasi zamin yahan logo
kisi ke pyar se mahki hui numu bhi kya
hazar koh-o-bayaban kiye hain tai lekin
hue hum aabla-payan lahu lahu bhi kya
kisi ki yaad mein kaT jae zindagi sari
ek aarzu to hai lekin ye aarzu bhi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.