ye teri sard-mehri ye teri kaj-adai
ye teri sard-mehri ye teri kaj-adai
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat
ye terī sard-mehrī ye terī kaj-adā.ī
ik husn-e-dil-farebī ik shān-e-dilrubā.ī
aalam se terā chhupnā hai ālam-āshnā.ī
pinhāñ hijāb meñ hai andāz-e-ḳhud-numā.ī
ai ishq-e-fitna-sāmāñ terī samajh kahāñ hai
ma.asūm husn ke sar ilzām-e-bevafā.ī
us dar kā koī sajda maqbūl ho ajab kyā
kuchh ham bhī aaj kar leñ taqdīr-āzmā.ī
dhāre pe bahr-e-ġham ke be-ḳhauf jā rahe haiñ
kashtī nahīñ hamārī muhtāj-e-nā-ḳhudā.ī
ai ḳhāk-e-rāh-e-manzil ab tujh pe baar haiñ ham
ham ko biThā chukā hai ranj-e-shikasta-pā.ī
uThvā rahā hai mujh ko 'nudrat' kisī ke dar se
ye zauq-e-sajda-rezī ye shauq-e-jib.ha-sā.ī
ye teri sard-mehri ye teri kaj-adai
ek husn-e-dil-farebi ek shan-e-dilrubai
aalam se tera chhupna hai aalam-ashnai
pinhan hijab mein hai andaz-e-KHud-numai
ai ishq-e-fitna-saman teri samajh kahan hai
masum husn ke sar ilzam-e-bewafai
us dar ka koi sajda maqbul ho ajab kya
kuchh hum bhi aaj kar len taqdir-azmai
dhaare pe bahr-e-gham ke be-KHauf ja rahe hain
kashti nahin hamari muhtaj-e-na-KHudai
ai KHak-e-rah-e-manzil ab tujh pe bar hain hum
hum ko biTha chuka hai ranj-e-shikasta-pai
uThwa raha hai mujh ko 'nudrat' kisi ke dar se
ye zauq-e-sajda-rezi ye shauq-e-jibha-sai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.