ye to gila nahin hai ki dil ko sukun nahin
ye to gila nahīñ hai ki dil ko sukūñ nahīñ
lekin sukūñ to chāra-e-dard-e-darūñ nahīñ
āñkhoñ meñ be-qarār koī mauj-e-ḳhūñ nahīñ
shāyad abhī bahār pe zaḳhm-e-darūñ nahīñ
har saañs de rahā thā ba-zāhir payām-e-zīst
lekin mirā gumān yahī hai ki huuñ nahīñ
miltā hai dil ko terī galī meñ sukūn sā
kyā is zamīn par falak-e-nīlgūñ nahīñ
ai aql saath rah ki paḌegā tujhī se kaam
rāh-e-talab kī manzil-e-āḳhir junūñ nahīñ
ab tak rafū guloñ ke garebāñ na ho sake
is gulsitāñ meñ pursish-e-ahl-e-junūñ nahīñ
mujh ko 'nisār' zo.am-e-nazar ne kiyā ḳharāb
jalve to har qadam pe pukāre ki yuuñ nahīñ
ye to gila nahin hai ki dil ko sukun nahin
lekin sukun to chaara-e-dard-e-darun nahin
aankhon mein be-qarar koi mauj-e-KHun nahin
shayad abhi bahaar pe zaKHm-e-darun nahin
har sans de raha tha ba-zahir payam-e-zist
lekin mera guman yahi hai ki hun nahin
milta hai dil ko teri gali mein sukun sa
kya is zamin par falak-e-nilgun nahin
ai aql sath rah ki paDega tujhi se kaam
rah-e-talab ki manzil-e-aKHir junun nahin
ab tak rafu gulon ke gareban na ho sake
is gulsitan mein pursish-e-ahl-e-junun nahin
mujh ko 'nisar' zoam-e-nazar ne kiya KHarab
jalwe to har qadam pe pukare ki yun nahin
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 99)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.