ye to nahin ki gham nahin
ye to nahīñ ki ġham nahīñ
haañ mirī aañkh nam nahīñ
nashsha sambhāle hai mujhe
bahke hue qadam nahīñ
kahte ho dahr ko bharam
mujh ko to ye bharam nahīñ
aur hī hai maqām-e-dil
dair nahīñ haram nahīñ
tum bhī to tum nahīñ ho aaj
ham bhī to aaj ham nahīñ
kyā mirī zindagī tirī
bhūlī huī qasam nahīñ
'ġhālib'-o-'mīr'-o-'mus.hafī'
ham bhī 'firāq' kam nahīñ
ye to nahin ki gham nahin
han meri aankh nam nahin
nashsha sambhaale hai mujhe
bahke hue qadam nahin
kahte ho dahr ko bharam
mujh ko to ye bharam nahin
aur hi hai maqam-e-dil
dair nahin haram nahin
tum bhi to tum nahin ho aaj
hum bhi to aaj hum nahin
kya meri zindagi teri
bhuli hui qasam nahin
'ghaalib'-o-'mir'-o-'mushafi'
hum bhi 'firaq' kam nahin
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 211)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.