ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the
ye to nahīñ ki ham pe sitam hī kabhī na the
itnā zarūr thā ki vo nāguftanī na the
ai chashm-e-iltifāt ye kyā ho gayā tujhe
terī nazar meñ ham to kabhī ajnabī na the
phirte haiñ āftāb-zada kā.enāt meñ
ham par kisī kī zulf ke ehsāñ kabhī na the
pāmāl kar diyā jo falak ne to kyā kaheñ
ham to kisī kamāl ke bhī mudda.ī na the
kyā jurm thā ye aaj bhī ham par nahīñ khulā
ye 'ilm hai ki ahl-e-junūñ kushtanī na the
har lamha tere 'ishq meñ umr-e-abad banā
jo din bhī zindagī ke mile aarzī na the
murjhā ke bhī ga.ī na mahak jism-e-nāz kī
ye motiye ke phuul koī kāġhazī na the
yārān-e-shahr 'ishq meñ be-ābrū hue
ham par to mehrbāñ vo kabhī the kabhī na the
iqlīm-e-āshiqī ko diyā dīn-e-shā.irī
ham sāhib-e-kitāb the garche nabī na the
ham jin kī nazr karte javāhar kalām ke
'tāhir' hamāre shahr meñ vo jauharī na the
ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the
itna zarur tha ki wo naguftani na the
ai chashm-e-iltifat ye kya ho gaya tujhe
teri nazar mein hum to kabhi ajnabi na the
phirte hain aaftab-zada kaenat mein
hum par kisi ki zulf ke ehsan kabhi na the
pamal kar diya jo falak ne to kya kahen
hum to kisi kamal ke bhi muddai na the
kya jurm tha ye aaj bhi hum par nahin khula
ye 'ilm hai ki ahl-e-junun kushtani na the
har lamha tere 'ishq mein umr-e-abad bana
jo din bhi zindagi ke mile aarzi na the
murjha ke bhi gai na mahak jism-e-naz ki
ye motiye ke phul koi kaghazi na the
yaran-e-shahr 'ishq mein be-abru hue
hum par to mehrban wo kabhi the kabhi na the
iqlim-e-ashiqi ko diya din-e-shairi
hum sahib-e-kitab the garche nabi na the
hum jin ki nazr karte jawahar kalam ke
'tahir' hamare shahr mein wo jauhari na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.