ye to nahin ki tum se mohabbat nahin mujhe
ye to nahīñ ki tum se mohabbat nahīñ mujhe
itnā zarūr hai ki shikāyat nahīñ mujhe
maiñ huuñ ki ishtiyāq meñ sar-tā-qadam nazar
vo haiñ ki ik nazar kī ijāzat nahīñ mujhe
āzādī-e-gunāh kī hasrat ke saath saath
āzādī-e-ḳhayāl kī jur.at nahīñ mujhe
dūbhar hai garche jaur-e-azīzāñ se zindagī
lekin ḳhudā-gavāh shikāyat nahīñ mujhe
jis kā gurez shart ho taqrīb-e-dīd meñ
is hosh is nazar kī zarūrat nahīñ mujhe
jo kuchh guzar rahī hai ġhanīmat hai ham-nashīñ
ab zindagī pe ġhaur kī fursat nahīñ mujhe
maiñ kyuuñ kisī ke ahd-e-vafā kā yaqīñ karūñ
itnī shadīd ġham kī zarūrat nahīñ mujhe
sajde mire ḳhayāl-e-jazā se haiñ māvarā
maqsūd bandagī se tijārat nahīñ mujhe
maiñ aur de sakūñ na tire ġham ko zindagī
aisī to zindagī se mohabbat nahīñ mujhe
'ehsān' kaun mujh se sivā hai mirā adū
apne sivā kisī se shikāyat nahīñ mujhe
ye to nahin ki tum se mohabbat nahin mujhe
itna zarur hai ki shikayat nahin mujhe
main hun ki ishtiyaq mein sar-ta-qadam nazar
wo hain ki ek nazar ki ijazat nahin mujhe
aazadi-e-gunah ki hasrat ke sath sath
aazadi-e-KHayal ki jurat nahin mujhe
dubhar hai garche jaur-e-azizan se zindagi
lekin KHuda-gawah shikayat nahin mujhe
jis ka gurez shart ho taqrib-e-did mein
is hosh is nazar ki zarurat nahin mujhe
jo kuchh guzar rahi hai ghanimat hai ham-nashin
ab zindagi pe ghaur ki fursat nahin mujhe
main kyun kisi ke ahd-e-wafa ka yaqin karun
itni shadid gham ki zarurat nahin mujhe
sajde mere KHayal-e-jaza se hain mawara
maqsud bandagi se tijarat nahin mujhe
main aur de sakun na tere gham ko zindagi
aisi to zindagi se mohabbat nahin mujhe
'ehsan' kaun mujh se siwa hai mera adu
apne siwa kisi se shikayat nahin mujhe
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 317)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.