ye tujhse aashna duniya se begane kahan jate
ye tujh se āshnā duniyā se begāne kahāñ jaate
tire kūche se uThte bhī to dīvāne kahāñ jaate
qafas meñ bhī mujhe sayyād ke hāthoñ se milte haiñ
mirī taqdīr ke likkhe hue daane kahāñ jaate
na chhoḌā zabt ne dāman nahīñ to tere saudā.ī
hujūm-e-ġham se ghabrā kar ḳhudā jaane kahāñ jaate
maiñ apne āñsuoñ ko kaise dāman meñ chhupā letā
jo palkoñ tak chale aa.e vo afsāne kahāñ jaate
tumhāre naam se mansūb ho jaate haiñ dīvāne
ye apne hosh meñ hote to pahchāne kahāñ jaate
agar koī harīm-e-nāz ke parde uThā detā
to phir ka.aba kahāñ rahtā sanam-ḳhāne kahāñ jaate
nahīñ thā mustahiq 'maḳhmūr' rindoñ ke sivā koī
na hote ham to phir labrez paimāne kahāñ jaate
ye tujh se aashna duniya se begane kahan jate
tere kuche se uThte bhi to diwane kahan jate
qafas mein bhi mujhe sayyaad ke hathon se milte hain
meri taqdir ke likkhe hue dane kahan jate
na chhoDa zabt ne daman nahin to tere saudai
hujum-e-gham se ghabra kar KHuda jaane kahan jate
main apne aansuon ko kaise daman mein chhupa leta
jo palkon tak chale aae wo afsane kahan jate
tumhaare nam se mansub ho jate hain diwane
ye apne hosh mein hote to pahchane kahan jate
agar koi harim-e-naz ke parde uTha deta
to phir kaba kahan rahta sanam-KHane kahan jate
nahin tha mustahiq 'maKHmur' rindon ke siwa koi
na hote hum to phir labrez paimane kahan jate
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 331)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.