ye ujDe bagh virane purane
ye ujḌe baaġh vīrāne purāne
sunāte haiñ kuchh afsāne purāne
ik āh-e-sard ban kar rah ga.e haiñ
vo biite din vo yārāne purāne
junūñ kā ek hī aalam ho kyuuñ kar
na.ī hai sham.a parvāne purāne
na.ī manzil kī dushvārī musallam
magar ham bhī haiñ dīvāne purāne
milegā pyaar ġhairoñ hī meñ 'jālib'
ki apne to haiñ begāne purāne
ye ujDe bagh virane purane
sunate hain kuchh afsane purane
ek aah-e-sard ban kar rah gae hain
wo bite din wo yarane purane
junun ka ek hi aalam ho kyun kar
nai hai shama parwane purane
nai manzil ki dushwari musallam
magar hum bhi hain diwane purane
milega pyar ghairon hi mein 'jalib'
ki apne to hain begane purane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.