ye umr guzri hai itne sitam uThane mein
ye umr guzrī hai itne sitam uThāne meñ
ki ḳhauf aatā hai aglā qadam uThāne meñ
zamīñ kā mujh se havāla bhī TuuT paayā nahīñ
maiñ sarfarāz rahā terā ġham uThāne meñ
har ek shai pe hai yaksāniyat kā ġhalba kyuuñ
ye imtiyāz-e-vajūd-o-adam uThāne meñ
chamak ke kūcha-e-qātil meñ neze kyā karte
ki josh-e-ḳhūñ thā hamāre qalam uThāne meñ
tumhārī yaad bhī aa.ī to kis tarah aa.ī
hayāt ruk sī ga.ī chashm-e-nam uThāne meñ
shikast khā na sakā merā lafz-e-haq 'rāshid'
maiñ be-ḳhatar rahā us kā alam uThāne meñ
ye umr guzri hai itne sitam uThane mein
ki KHauf aata hai agla qadam uThane mein
zamin ka mujh se hawala bhi TuT paya nahin
main sarfaraaz raha tera gham uThane mein
har ek shai pe hai yaksaniyat ka ghalba kyun
ye imtiyaz-e-wajud-o-adam uThane mein
chamak ke kucha-e-qatil mein neze kya karte
ki josh-e-KHun tha hamare qalam uThane mein
tumhaari yaad bhi aai to kis tarah aai
hayat ruk si gai chashm-e-nam uThane mein
shikast kha na saka mera lafz-e-haq 'rashid'
main be-KHatar raha us ka alam uThane mein
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 165)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.