ye un se milti hai mubtala nain
ye un se miltī hai mubtalā naiiñ
havā daraḳhtoñ kī dāshta naiiñ
vafā kā sun kar malāl mat kar
ye peshkash hai mutālba naiiñ
yaqīn se ishq ho rahā hai
kisī ko fikrī muġhālta naiiñ
fasurda logoñ pe hañsne vaalo
ye bad-tamīzī kī intihā naiiñ
nazar nazar se suḳhan karegī
ye lab-kushā.ī kā marhala naiiñ
maiñ chal paḌūñgā kisī bhī lamhe
thakā huā huuñ shikasta-pā naiiñ
ye hijr hai apne saath rahnā
ye vaqt ḳhud se gurez kā naiiñ
mujhe bahut dekhtī hai duniyā
magar maiñ duniyā ko dekhtā naiiñ
ye un se milti hai mubtala nain
hawa daraKHton ki dashta nain
wafa ka sun kar malal mat kar
ye peshkash hai mutalba nain
yaqin se ishq ho raha hai
kisi ko fikri mughaalta nain
fasurda logon pe hansne walo
ye bad-tamizi ki intiha nain
nazar nazar se suKHan karegi
ye lab-kushai ka marhala nain
main chal paDunga kisi bhi lamhe
thaka hua hun shikasta-pa nain
ye hijr hai apne sath rahna
ye waqt KHud se gurez ka nain
mujhe bahut dekhti hai duniya
magar main duniya ko dekhta nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.