ye wadiyan ye fazaen bula rahi hain tumhein
ye vādiyāñ ye fazā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
ḳhamoshiyoñ kī sadā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
taras rahe haiñ javāñ phuul hoñT chhūne ko
machal machal ke havā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
tumhārī zulfoñ se ḳhushbū kī bhiik lene ko
jhukī jhukī sī ghaTā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
hasīn champa.ī pairoñ ko jab se dekhā hai
nadī kī mast adā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
mirā kahā na suno un kī baat to sun lo
har ek dil kī duā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
ye wadiyan ye fazaen bula rahi hain tumhein
KHamoshiyon ki sadaen bula rahi hain tumhein
taras rahe hain jawan phul honT chhune ko
machal machal ke hawaen bula rahi hain tumhein
tumhaari zulfon se KHushbu ki bhik lene ko
jhuki jhuki si ghaTaen bula rahi hain tumhein
hasin champai pairon ko jab se dekha hai
nadi ki mast adaen bula rahi hain tumhein
mera kaha na suno un ki baat to sun lo
har ek dil ki duaen bula rahi hain tumhein
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 400)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.