ye wasl ki wahshat hai ibaadat ki ghaDi hai
ye vasl kī vahshat hai ibādat kī ghaḌī hai
nārāz farishtoñ kī qasam TuuT rahī hai
ai sho.ala-e-pur-josh tavajjoh maiñ idhar huuñ
bad-mast idhar dekh jidhar aag lagī hai
sunte haiñ ḳhudā ruuTh gayā hai nahīñ suntā
hālāñki mire shahr kā har shaḳhs valī hai
ai yaar mayassar kā mazā le ke judā ho
is mausam-e-gul meñ tujhe jaane kī paḌī hai
ye aañkh jise bojh samajhtā hai miyāñ tū
ye bār-e-hazīmat ko uThāne kī nafī hai
mujh se mire sayyād ne vahshat se kahā jā
le aaj se tū merī mohabbat se barī hai
har chiiz badal dī hai magar kuchh nahīñ badlā
kahne ko chaman-zār kī har shāḳh na.ī hai
ye wasl ki wahshat hai ibaadat ki ghaDi hai
naraaz farishton ki qasam TuT rahi hai
ai shoala-e-pur-josh tawajjoh main idhar hun
bad-mast idhar dekh jidhar aag lagi hai
sunte hain KHuda ruTh gaya hai nahin sunta
haalanki mere shahr ka har shaKHs wali hai
ai yar mayassar ka maza le ke juda ho
is mausam-e-gul mein tujhe jaane ki paDi hai
ye aankh jise bojh samajhta hai miyan tu
ye bar-e-hazimat ko uThane ki nafi hai
mujh se mere sayyaad ne wahshat se kaha ja
le aaj se tu meri mohabbat se bari hai
har chiz badal di hai magar kuchh nahin badla
kahne ko chaman-zar ki har shaKH nai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.