ye wo aansu hain jin se zohra aatishnak ho jawe
ye wo aansu hain jin se zohra aatishnak ho jawe
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
ye vo aañsū haiñ jin se zohra ātishnāk ho jaave
agar piive koī un ko to jal kar ḳhaak ho jaave
na jā gulshan meñ bulbul ko ḳhajil mat kar ki Dartā huuñ
ye dāman dekh kar gul kā garebāñ chaak ho jaave
gunahgāroñ ko hai ummīd is ashk-e-nidāmat se
ki dāman shāyad is āb-e-ravāñ se paak ho jaave
ajab kyā hai tirī ḳhushkī kī shāmat se jo tū zāhid
nahāl-e-tāk biThlāve to vo misvāk ho jaave
duā mastoñ kī kahte haiñ 'yaqīñ' tāsīr rakhtī hai
ilāhī sabza jitnā hai jahāñ meñ taak ho jaave
ye wo aansu hain jin se zohra aatishnak ho jawe
agar piwe koi un ko to jal kar KHak ho jawe
na ja gulshan mein bulbul ko KHajil mat kar ki Darta hun
ye daman dekh kar gul ka gareban chaak ho jawe
gunahgaron ko hai ummid is ashk-e-nidamat se
ki daman shayad is aab-e-rawan se pak ho jawe
ajab kya hai teri KHushki ki shamat se jo tu zahid
nahaal-e-tak biThlawe to wo miswak ho jawe
dua maston ki kahte hain 'yaqin' tasir rakhti hai
ilahi sabza jitna hai jahan mein tak ho jawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.