ye zād-e-rāh hamesha safar meñ rakh lenā
bichhḌe vaqt kā manzar nazar meñ rakh lenā
mile to raas bhī aa.e lakīr hāthoñ kī
ye ik kamāl bhī dast-e-hunar meñ rakh lenā
safar hai lauT ke aanā agar nasīb na ho
sajā ke yaad mirī chashm-e-tar meñ rakh lenā
hamārī zad meñ hai puurī tarah fasīl-e-shab
hamārā naam numūd-e-sahar meñ rakh lenā
kisī kī yaad kī ḳhushbū safar meñ saath chale
kisī ke hijr kā mausam nazar meñ rakh lenā
ye zad-e-rah hamesha safar mein rakh lena
bichhDe waqt ka manzar nazar mein rakh lena
mile to ras bhi aae lakir hathon ki
ye ek kamal bhi dast-e-hunar mein rakh lena
safar hai lauT ke aana agar nasib na ho
saja ke yaad meri chashm-e-tar mein rakh lena
hamari zad mein hai puri tarah fasil-e-shab
hamara nam numud-e-sahar mein rakh lena
kisi ki yaad ki KHushbu safar mein sath chale
kisi ke hijr ka mausam nazar mein rakh lena
Source :
- Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 40)
- Author : Sayed Shakeel Desnavi
-
Publication : Adshot Publications,
(2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.