ye zamin kis qadar sajai gai
ye zamīñ kis qadar sajā.ī ga.ī
zindagī kī taḌap baḌhā.ī ga.ī
aa.ine se bigaḌ ke baiTh ga.e
jin kī sūrat jinheñ dikhā.ī ga.ī
dushmanoñ hī se bhī to nibh jaa.e
dostoñ se to āshnā.ī ga.ī
nasl-dar-nasl intizār rahā
qasr TuuTe na be-navā.ī ga.ī
zindagī kā nasīb kyā kahiye
ek siitā thī jo satā.ī ga.ī
ham na autār the na paiġhambar
kyuuñ ye azmat hameñ dilā.ī ga.ī
maut paa.ī salīb par ham ne
'umr ban-bās meñ bitā.ī ga.ī
ye zamin kis qadar sajai gai
zindagi ki taDap baDhai gai
aaine se bigaD ke baiTh gae
jin ki surat jinhen dikhai gai
dushmanon hi se bhi to nibh jae
doston se to aashnai gai
nasl-dar-nasl intizar raha
qasr TuTe na be-nawai gai
zindagi ka nasib kya kahiye
ek sita thi jo satai gai
hum na autar the na paighambar
kyun ye azmat hamein dilai gai
maut pai salib par hum ne
'umr ban-bas mein bitai gai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 235)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.