ye zamin meri bhi hai ye aasman mera bhi hai
ye zamīñ merī bhī hai ye āsmāñ merā bhī hai
roz-o-shab ke khel meñ sūd-o-ziyāñ merā bhī hai
nā-murādī ke bhañvar meñ ek tū hī to nahīñ
sāhil-e-imkāñ pe āḳhir imtihāñ merā bhī hai
māh-e-nau bas ek tū hī to nahīñ tere sivā
qarya-e-shab meñ charāġh-e-jāñ-fishāñ merā bhī hai
guuñj uTThī hai zamīñ-tā-āsmāñ imroz-o-shab
is sadā-e-hū meñ ik harf-e-fuġhāñ merā bhī hai
ye zamin meri bhi hai ye aasman mera bhi hai
roz-o-shab ke khel mein sud-o-ziyan mera bhi hai
na-muradi ke bhanwar mein ek tu hi to nahin
sahil-e-imkan pe aaKHir imtihan mera bhi hai
mah-e-nau bas ek tu hi to nahin tere siwa
qarya-e-shab mein charagh-e-jaan-fishan mera bhi hai
gunj uTThi hai zamin-ta-asman imroz-o-shab
is sada-e-hu mein ek harf-e-fughan mera bhi hai
- Book : Shareek-e-Harf (Pg. 77)
- Author : Khalid Jamal
- Publication : Dabistan-e-adab (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.