ye zamin ye aasman ye kahkashan kuchh bhi nahin
ye zamīñ ye āsmāñ ye kahkashāñ kuchh bhī nahīñ
sab fanā kī qaid meñ haiñ jāvedāñ kuchh bhī nahīñ
hai mire hī dūr-uftāda kisī goshe meñ haiñ
vus.at-e-kaunain huuñ maiñ ye jahāñ kuchh bhī nahīñ
maiñ baḌī mushkil se samjhā huuñ qazā ke raaz ko
barq-e-raqsāñ ke muqābil āshiyāñ kuchh bhī nahīñ
zindagī taḳhrīb aur tā'mīr kā hī khel hai
'ilm vāloñ ko jahāñ kī gutthiyāñ kuchh bhī nahīñ
ai parindo in paroñ meñ zarf to paidā karo
hasrat-e-parvāz ko ye beḌiyāñ kuchh bhī nahīñ
zahr bhī gar hikmatan leñ to davā ban jā.egā
is jahāñ meñ dekhiye to rā.egāñ kuchh bhī nahīñ
yaar kī galiyoñ meñ ghuñghrū bāñdh kar bhī naach luuñ
'ishq meñ 'kāfir' mirī ḳhuddāriyāñ kuchh bhī nahīñ
ye zamin ye aasman ye kahkashan kuchh bhi nahin
sab fana ki qaid mein hain jawedan kuchh bhi nahin
hai mere hi dur-uftada kisi goshe mein hain
wusat-e-kaunain hun main ye jahan kuchh bhi nahin
main baDi mushkil se samjha hun qaza ke raaz ko
barq-e-raqsan ke muqabil aashiyan kuchh bhi nahin
zindagi taKHrib aur ta'mir ka hi khel hai
'ilm walon ko jahan ki gutthiyan kuchh bhi nahin
ai parindo in paron mein zarf to paida karo
hasrat-e-parwaz ko ye beDiyan kuchh bhi nahin
zahr bhi gar hikmatan len to dawa ban jaega
is jahan mein dekhiye to raegan kuchh bhi nahin
yar ki galiyon mein ghunghru bandh kar bhi nach lun
'ishq mein 'kafir' meri KHuddariyan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.