ye zamin ye chand ye suraj ye tare dekhna
ye zamīñ ye chāñd ye sūraj ye taare dekhnā
husn-e-nādīda ke saare isti.āre dekhnā
ik ḳhabar denā kisī aate hue tūfān kī
kashtiyoñ ko jab kabhī dariyā kināre dekhnā
january kī sardiyoñ meñ ek ātish-dāñ ke paas
ghanToñ tanhā baiThnā bujhte sharāre dekhnā
jab kabhī fursat mile to gosha-e-tanhā.ī meñ
yād-e-māzī ke purāne goshvāre dekhnā
mere maazī ke risāloñ ko na kho denā salīm
ab kahīñ milte nahīñ haiñ ye shumāre dekhnā
ye zamin ye chand ye suraj ye tare dekhna
husn-e-nadida ke sare istiare dekhna
ek KHabar dena kisi aate hue tufan ki
kashtiyon ko jab kabhi dariya kinare dekhna
january ki sardiyon mein ek aatish-dan ke pas
ghanTon tanha baiThna bujhte sharare dekhna
jab kabhi fursat mile to gosha-e-tanhai mein
yaad-e-mazi ke purane goshware dekhna
mere mazi ke risalon ko na kho dena salim
ab kahin milte nahin hain ye shumare dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.