ye zard chehra ye dard-e-paiham koi sunega to kya kahega
ye zard chehra ye dard-e-paiham koī sunegā to kyā kahegā
zarā se dil meñ hazār-hā ġham koī sunegā to kyā kahegā
na qahqahoñ ke hī silsile haiñ na dostoñ meñ vo rat-jage haiñ
har ik se milnā kiyā hai kam kam koī sunegā to kyā kahegā
bichhaḌne vāloñ kā ġham na kiije ḳhud apne uupar sitam na kījiye
udaas chehra hai aañkh pur-nam koī sunegā to kyā kahegā
tū sirf apnī ġharaz kī ḳhātir ye jalte dīpak bujhā rahā hai
magar zarā ye to soch hamdam koī sunegā to kyā kahegā
balā.eñ kitnī bhī aa.eñ sar par 'ra.īs' ġham kī na kiije shohrat
ye āh-o-zārī ye shor-e-mātam koī sunegā to kyā kahegā
ye zard chehra ye dard-e-paiham koi sunega to kya kahega
zara se dil mein hazar-ha gham koi sunega to kya kahega
na qahqahon ke hi silsile hain na doston mein wo rat-jage hain
har ek se milna kiya hai kam kam koi sunega to kya kahega
bichhaDne walon ka gham na kije KHud apne upar sitam na kijiye
udas chehra hai aankh pur-nam koi sunega to kya kahega
tu sirf apni gharaz ki KHatir ye jalte dipak bujha raha hai
magar zara ye to soch hamdam koi sunega to kya kahega
balaen kitni bhi aaen sar par 'rais' gham ki na kije shohrat
ye aah-o-zari ye shor-e-matam koi sunega to kya kahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.