ye zaruri to nahin sath mein lashkar nikle
ye zarūrī to nahīñ saath meñ lashkar nikle
karbalā yaad karo sirf bahattar nikle
girte girte hī sahī dauḌ ke aksar nikle
gard āñkhoñ meñ liye jab bhī safar par nikle
surḳh dil dekh ke hāthoñ meñ uThāne vaale
phir na kahnā jo tire haath se patthar nikle
sochtā huuñ vo chamaktā ho sitāroñ jaisā
chāhtā huuñ vo mirī soch se baḌh kar nikle
kyoñ na maiñ sher kahūñ ātish-e-ġham meñ jānāñ
kyoñ na dil kā ye dhuāñ jism se bāhar nikle
ye zaruri to nahin sath mein lashkar nikle
karbala yaad karo sirf bahattar nikle
girte girte hi sahi dauD ke aksar nikle
gard aankhon mein liye jab bhi safar par nikle
surKH dil dekh ke hathon mein uThane wale
phir na kahna jo tere hath se patthar nikle
sochta hun wo chamakta ho sitaron jaisa
chahta hun wo meri soch se baDh kar nikle
kyon na main sher kahun aatish-e-gham mein jaanan
kyon na dil ka ye dhuan jism se bahar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.