ye zist ranj mein guzre ki shadman guzre
ye ziist rañj meñ guzre ki shādmāñ guzre
tire baġhair jo guzre to rā.egāñ guzre
ba-qaid-e-hosh jo guzre ba-qaid-e-jāñ guzre
vo kyā maqām-e-mohabbat se kāmrāñ guzre
nazar ko apnī basārat bhī jab girāñ guzre
ḳhudā kare na phir āñkhoñ se vo samāñ guzre
dayār-e-shauq se jab bahr-e-imtihāñ guzre
ham apnī jaan se guzre to kāmrāñ guzre
qadam qadam pe ḳhirad sadd-e-rāh thī lekin
junūn-e-shauq salāmat ravāñ-davāñ guzre
ye mai-kada vo jagah hai jahāñ se ai saaqī
nazar churā.e hue gardish-e-jahāñ guzre
chaman-parast huuñ mujh ko chaman se ulfat hai
balā se us meñ bahār aa.e yā ḳhizāñ guzre
tirā karam hai jo sāya-fagan to kyā ġham hai
hazār baar mire sar se āsmāñ guzre
kisī kā faiz 'mubārak' nahīñ to phir kyā hai
ki ham jahāñ se bhī guzre haiñ kāmrāñ guzre
ye zist ranj mein guzre ki shadman guzre
tere baghair jo guzre to raegan guzre
ba-qaid-e-hosh jo guzre ba-qaid-e-jaan guzre
wo kya maqam-e-mohabbat se kaamran guzre
nazar ko apni basarat bhi jab giran guzre
KHuda kare na phir aankhon se wo saman guzre
dayar-e-shauq se jab bahr-e-imtihan guzre
hum apni jaan se guzre to kaamran guzre
qadam qadam pe KHirad sadd-e-rah thi lekin
junun-e-shauq salamat rawan-dawan guzre
ye mai-kada wo jagah hai jahan se ai saqi
nazar churae hue gardish-e-jahan guzre
chaman-parast hun mujh ko chaman se ulfat hai
bala se us mein bahaar aae ya KHizan guzre
tera karam hai jo saya-fagan to kya gham hai
hazar bar mere sar se aasman guzre
kisi ka faiz 'mubarak' nahin to phir kya hai
ki hum jahan se bhi guzre hain kaamran guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.