ye zindagani kisi ki yaadon se muttasil hai
ye zindagānī kisī kī yādoñ se muttasil hai
so us ke jaane pe dil mirā mujh se mushta.il hai
ḳhusūsī bāteñ jo shā.irī kī haiñ ek un meñ
ye ḳhuun piitī hai aur piitī bhī mustaqil hai
hamārā har din kitāb kā ek baab hai aur
kitāb vahshat kī dāstānoñ pe mushtamil hai
hai ek ḳhvāhish ki bahte paanī meñ jo hai muzmar
hai ek hasrat ki jo kināroñ se munfasil hai
kisī ne sab kā nasīb likkhā hai aur 'ājiz'
hamārī qismat meñ shā.irī hai jo jāñ-gusil hai
ye zindagani kisi ki yaadon se muttasil hai
so us ke jaane pe dil mera mujh se mushtail hai
KHususi baaten jo shairi ki hain ek un mein
ye KHun piti hai aur piti bhi mustaqil hai
hamara har din kitab ka ek bab hai aur
kitab wahshat ki dastanon pe mushtamil hai
hai ek KHwahish ki bahte pani mein jo hai muzmar
hai ek hasrat ki jo kinaron se munfasil hai
kisi ne sab ka nasib likkha hai aur 'ajiz'
hamari qismat mein shairi hai jo jaan-gusil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.