ye zindagi jo guzarti hai imtihan ki tarah
ye zindagī jo guzartī hai imtihāñ kī tarah
hameñ aziiz hai us yār-e-mehrbāñ kī tarah
maiñ us ko bhūlnā chāhūñ to bhuul jā.ūñ magar
vo mere saath hī rahtā hai merī jaañ kī tarah
sajānā chaah rahe haiñ magar sajā.eñ kyā
hamārā shahr hai lauTī huī dukāñ kī tarah
zarā samajh to sahī ahd-e-nā-sipās hameñ
ki tere saath haiñ ham yād-e-raftagāñ kī tarah
ḳhudā-gavāh ki is ahd meñ bhī jiitā huuñ
jo ki sabāt hai paimān-e-dostāñ kī tarah
ye zindagi jo guzarti hai imtihan ki tarah
hamein aziz hai us yar-e-mehrban ki tarah
main us ko bhulna chahun to bhul jaun magar
wo mere sath hi rahta hai meri jaan ki tarah
sajaana chah rahe hain magar sajaen kya
hamara shahr hai lauTi hui dukan ki tarah
zara samajh to sahi ahd-e-na-sipas hamein
ki tere sath hain hum yaad-e-raftagan ki tarah
KHuda-gawah ki is ahd mein bhi jita hun
jo ki sabaat hai paiman-e-dostan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.