ye zindagi ki haar se pahle guzar gai
ye zindagī kī haar se pahle guzar ga.ī
ik dāstāñ bahār se pahle guzar ga.ī
vo baat e'tibār ke qābil nahīñ rahī
jo baat e'tibār se pahle guzar ga.ī
āñkhoñ se dekhte rahe dil kī tabāhiyāñ
dil kī lagī qarār se pahle guzar ga.ī
hote haiñ aaj tak bhī ḳhizāñ hī ke tazkire
aa.ī bhī aur bahār se pahle guzar ga.ī
zāhid kī pārsā.ī kā ab kuchh na pūchhiye
ik shai thī jo ḳhumār se pahle guzar ga.ī
kaise kahūñ ki lauT ke aa jā.egī ai 'rāz'
vo zindagī jo pyaar se pahle guzar ga.ī
ye zindagi ki haar se pahle guzar gai
ek dastan bahaar se pahle guzar gai
wo baat e'tibar ke qabil nahin rahi
jo baat e'tibar se pahle guzar gai
aankhon se dekhte rahe dil ki tabahiyan
dil ki lagi qarar se pahle guzar gai
hote hain aaj tak bhi KHizan hi ke tazkire
aai bhi aur bahaar se pahle guzar gai
zahid ki parsai ka ab kuchh na puchhiye
ek shai thi jo KHumar se pahle guzar gai
kaise kahun ki lauT ke aa jaegi ai 'raaz'
wo zindagi jo pyar se pahle guzar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.