ye zindagi nae manzar dikha rahi hai mujhe
ye zindagī na.e manzar dikhā rahī hai mujhe
ḳhizāñ hai āḳhirī mausam batā rahī hai mujhe
hañsā rahī hai kabhī ye rulā rahī hai mujhe
ġhazal mirī hī kahānī sunā rahī hai mujhe
vo ek shai jo ki siine meñ hai kahīñ maujūd
kisī ke hukm pe pal pal chalā rahī hai mujhe
ye ittifāq nahīñ haiñ koī duā hai jo
yuuñ hādsoñ se musalsal bachā rahī hai mujhe
tū buzdilī na samajh ye hī to sharāfat hai
mire lahū kī nafāsat jhukā rahī hai mujhe
jo ek lahr bhañvar ke thī aas paas kahīñ
vo dhīre dhīre kināre lagā rahī hai mujhe
baġhair us ke thī mumkin kahāñ rihā.ī mirī
ye maut aa ke balā se chhuḌā rahī hai mujhe
na.e libās meñ lipTā huā huuñ aur ye zamīñ
mire vajūd kī qīmat batā rahī hai mujhe
ye tez dhuup ye sahrāoñ kā safar 'ruḳhsār'
yahī tapish hai jo kundan banā rahī hai mujhe
ye zindagi nae manzar dikha rahi hai mujhe
KHizan hai aaKHiri mausam bata rahi hai mujhe
hansa rahi hai kabhi ye rula rahi hai mujhe
ghazal meri hi kahani suna rahi hai mujhe
wo ek shai jo ki sine mein hai kahin maujud
kisi ke hukm pe pal pal chala rahi hai mujhe
ye ittifaq nahin hain koi dua hai jo
yun hadson se musalsal bacha rahi hai mujhe
tu buzdili na samajh ye hi to sharafat hai
mere lahu ki nafasat jhuka rahi hai mujhe
jo ek lahr bhanwar ke thi aas pas kahin
wo dhire dhire kinare laga rahi hai mujhe
baghair us ke thi mumkin kahan rihai meri
ye maut aa ke bala se chhuDa rahi hai mujhe
nae libas mein lipTa hua hun aur ye zamin
mere wajud ki qimat bata rahi hai mujhe
ye tez dhup ye sahraon ka safar 'ruKHsar'
yahi tapish hai jo kundan bana rahi hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.