ye zindagi tamam ganwa di hai pyas mein
ye zindagī tamām gañvā dī hai pyaas meñ
phir kyoñ har ek raat bitāte haiñ aas meñ
tum jaam māñgte ho bahut chhoTī chiiz hai
maiñ dhaḌkaneñ rakhūñ jo kaho is gilās meñ
ham ne bhī to nikāle haiñ nāsūr kaaT kar
ham ne bhī din guzāre haiñ kaale libās meñ
sab yaar sochte the rahegā vahī samāñ
ik maiñ hī bas bachā huuñ koī sau pachās meñ
ye zindagi tamam ganwa di hai pyas mein
phir kyon har ek raat bitate hain aas mein
tum jam mangte ho bahut chhoTi chiz hai
main dhaDkanen rakhun jo kaho is gilas mein
hum ne bhi to nikale hain nasur kaT kar
hum ne bhi din guzare hain kale libas mein
sab yar sochte the rahega wahi saman
ek main hi bas bacha hun koi sau pachas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.