yunhi dil ne chaha tha rona-rulana
yuñhī dil ne chāhā thā ronā-rulānā
tirī yaad to ban ga.ī ik bahāna
hameñ bhī nahīñ ilm ham jis pe ro.e
vo biitī ruteñ haiñ ki aatā zamāna
ġham-e-dil hai aur ġham-e-zindagī bhī
na is kā Thikāna na us kā Thikāna
koī kis pe taḌpe koī kis pe ro.e
idhar dil jalā hai udhar āshiyāna
yunhi dil ne chaha tha rona-rulana
teri yaad to ban gai ek bahana
hamein bhi nahin ilm hum jis pe roe
wo biti ruten hain ki aata zamana
gham-e-dil hai aur gham-e-zindagi bhi
na is ka Thikana na us ka Thikana
koi kis pe taDpe koi kis pe roe
idhar dil jala hai udhar aashiyana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.