yun aa ke sham-e-dard ba-rang-e-sahar gai
yuuñ aa ke shām-e-dard ba-rañg-e-sahar ga.ī
chehre se mere dhuup ġhamoñ kī utar ga.ī
saa.il kī tarah log safoñ meñ khaḌe mile
jis rahguzār-e-zīst pe merī nazar ga.ī
ham rah-ravān-e-shauq kī qismat na pūchhiye
manzil jise bhī samjhā vo manzil guzar ga.ī
vo jān-e-ārzū ki jo thī sham-e-anjuman
dil DhūñDhtā hai us ko na jaane kidhar ga.ī
ik shakl-e-dilrubā jise dekhā thā ḳhvāb meñ
tasvīr kī tarah mire dil meñ utar ga.ī
jis bazm-e-dostāñ meñ sunāte the ham ġhazal
afsos sad afsos vo mahfil bikhar ga.ī
ab ke bahār aa.ī hai mānind-e-ā.ina
dekhā 'kamāl' maiñ ne to sūrat nikhar ga.ī
yun aa ke sham-e-dard ba-rang-e-sahar gai
chehre se mere dhup ghamon ki utar gai
sail ki tarah log safon mein khaDe mile
jis rahguzar-e-zist pe meri nazar gai
hum rah-rawan-e-shauq ki qismat na puchhiye
manzil jise bhi samjha wo manzil guzar gai
wo jaan-e-arzu ki jo thi sham-e-anjuman
dil DhunDhta hai us ko na jaane kidhar gai
ek shakl-e-dilruba jise dekha tha KHwab mein
taswir ki tarah mere dil mein utar gai
jis bazm-e-dostan mein sunate the hum ghazal
afsos sad afsos wo mahfil bikhar gai
ab ke bahaar aai hai manind-e-aina
dekha 'kamal' main ne to surat nikhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.