yun apne dil ke bojh ko kuchh kam kiya gaya
yuuñ apne dil ke bojh ko kuchh kam kiyā gayā
ahd-e-visāl-o-hijr pe mātam kiyā gayā
āñkhoñ se ḳhuuñ bahānā paḌā raat din mujhe
tab jā ke tere ġham ko kahīñ ġham kiyā gayā
kyā kam thā pahle darham-o-barham ai āsmāñ
jo aur mujh ko darham-o-barham kiyā gayā
chehrā tumhārā phuul kiyā apne ishq se
aur is pe phir pasīne ko shabnam kiyā gayā
aañsū kabhī malāl kabhī terā ġham kabhī
kyā kyā na mere zaḳhm kā marham kiyā gayā
yun apne dil ke bojh ko kuchh kam kiya gaya
ahd-e-visal-o-hijr pe matam kiya gaya
aankhon se KHun bahana paDa raat din mujhe
tab ja ke tere gham ko kahin gham kiya gaya
kya kam tha pahle darham-o-barham ai aasman
jo aur mujh ko darham-o-barham kiya gaya
chehra tumhaara phul kiya apne ishq se
aur is pe phir pasine ko shabnam kiya gaya
aansu kabhi malal kabhi tera gham kabhi
kya kya na mere zaKHm ka marham kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.