yun ayan tujhko dekhte hain hum
yuuñ ayaañ tujh ko dekhte haiñ ham
ki nihāñ tujh ko dekhte haiñ ham
nahīñ vā-dīd mā-sivā darkār
be-nishāñ tujh ko dekhte haiñ ham
ġhair kī vaañ nazar nahīñ jaatī
ab jahāñ tujh ko dekhte haiñ ham
dīdanī kuchh nahīñ zamāne meñ
jāvedāñ tujh ko dekhte haiñ
jaan dene pe kyuuñ na huuñ raazī
jāñ-sitāñ tujh ko dekhte haiñ ham
yuuñ kareñ ham ko pā.emāl 'adū
āsmāñ tujh ko dekhte haiñ ham
yuuñ vo gul-gasht ko chale aa.eñ
gulsitāñ tujh ko dekhte haiñ ham
aaj apnā kahā sunā ho mu'āf
nā-gahāñ tujh ko dekhte haiñ ham
aarzū go ki ek harf hai to
dāstāñ tujh ko dekhte haiñ ham
na kareñ ab kalīm se bhī kalām
ham-zabāñ tujh ko dekhte haiñ ham
ham aur aġhyār se gilā terā
bad-gumāñ tujh ko dekhte haiñ ham
aur karnā hai charḳh ko dushman
mehrbāñ tujh ko dekhte haiñ ham
us kā aanā yaqīñ hai kyā 'sālik'
nigarāñ tujh ko dekhte haiñ ham
yun ayan tujh ko dekhte hain hum
ki nihan tujh ko dekhte hain hum
nahin wa-did ma-siwa darkar
be-nishan tujh ko dekhte hain hum
ghair ki wan nazar nahin jati
ab jahan tujh ko dekhte hain hum
didani kuchh nahin zamane mein
jawedan tujh ko dekhte hain
jaan dene pe kyun na hun raazi
jaan-sitan tujh ko dekhte hain hum
yun karen hum ko paemal 'adu
aasman tujh ko dekhte hain hum
yun wo gul-gasht ko chale aaen
gulsitan tujh ko dekhte hain hum
aaj apna kaha suna ho mu'af
na-gahan tujh ko dekhte hain hum
aarzu go ki ek harf hai to
dastan tujh ko dekhte hain hum
na karen ab kalim se bhi kalam
ham-zaban tujh ko dekhte hain hum
hum aur aghyar se gila tera
bad-guman tujh ko dekhte hain hum
aur karna hai charKH ko dushman
mehrban tujh ko dekhte hain hum
us ka aana yaqin hai kya 'salik'
nigaran tujh ko dekhte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.