yun bahaar aai hai is bar ki jaise qasid
yuuñ bahār aa.ī hai is baar ki jaise qāsid
kūcha-e-yār se be-nail-e-marām aatā hai
har koī shahr meñ phirtā hai salāmat-dāman
rind mai-ḳhāne se shā.ista-ḳhirām aatā hai
havas-e-mutrib-o-sāqī meñ pareshāñ aksar
abr aatā hai kabhī māh-e-tamām aatā hai
shauq vāloñ kī hazīñ mahfil-e-shab meñ ab bhī
āmad-e-sub.h kī sūrat tirā naam aatā hai
ab bhī elān-e-sahar kartā huā mast koī
dāġh-e-dil kar ke farozāñ sar-e-shām aatā hai
yun bahaar aai hai is bar ki jaise qasid
kucha-e-yar se be-nail-e-maram aata hai
har koi shahr mein phirta hai salamat-daman
rind mai-KHane se shaista-KHiram aata hai
hawas-e-mutrib-o-saqi mein pareshan aksar
abr aata hai kabhi mah-e-tamam aata hai
shauq walon ki hazin mahfil-e-shab mein ab bhi
aamad-e-subh ki surat tera nam aata hai
ab bhi elan-e-sahar karta hua mast koi
dagh-e-dil kar ke farozan sar-e-sham aata hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 289)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.