yun bhaTakna dar-ba-dar achchha nahin lagta mujhe
yuuñ bhaTaknā dar-ba-dar achchhā nahīñ lagtā mujhe
bin tumhāre ye safar achchhā nahīñ lagtā mujhe
pyaar ke is khel meñ anjām sab kā ek hai
TūTnā dil kā magar achchhā nahīñ lagtā mujhe
aasrā allāh kā kaafī hai insāñ ke liye
haath phailā kar bashar achchhā nahīñ lagtā mujhe
maiñ burā huuñ ye bhalā apnī anā meñ mast huuñ
kyuuñ udhar jā.ūñ jidhar achchhā nahīñ lagtā mujhe
aane vaalī nasl ke haq meñ duā.eñ kījiye
phuul se chehroñ pe Dar achchhā nahīñ lagtā mujhe
hotī hai bachchoñ se raunaq har dar-o-dīvār kī
bin parindoñ ke shajar achchhā nahīñ lagtā mujhe
jin gharoñ meñ ho nahīñ shāmil duā māñ-bāp kī
koī bhī ghar ho vo ghar achchhā nahīñ lagtā mujhe
yun bhaTakna dar-ba-dar achchha nahin lagta mujhe
bin tumhaare ye safar achchha nahin lagta mujhe
pyar ke is khel mein anjam sab ka ek hai
TuTna dil ka magar achchha nahin lagta mujhe
aasra allah ka kafi hai insan ke liye
hath phaila kar bashar achchha nahin lagta mujhe
main bura hun ye bhala apni ana mein mast hun
kyun udhar jaun jidhar achchha nahin lagta mujhe
aane wali nasl ke haq mein duaen kijiye
phul se chehron pe Dar achchha nahin lagta mujhe
hoti hai bachchon se raunaq har dar-o-diwar ki
bin parindon ke shajar achchha nahin lagta mujhe
jin gharon mein ho nahin shamil dua man-bap ki
koi bhi ghar ho wo ghar achchha nahin lagta mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.